ABBAS QATL HO GAYE MAHSHAR BAPA HUA
*Abbas qatl ho gaye mahshar bapa hua Bekas husain ho gaye bhai juda hua *Ab khatm hai larai alamdar mar gaya Doure husain khte hue haye kya hua *Pahunche jo girte parte to dekha ye hal e zar Shane qalam hai sher hai zakhmi para hua *Mashke sakeena khoon me hai tar pari hui Patka bhi hai alam ka lahoo me bhara hua *Boole Lipat ke gazi se kuch to karo kalam Kya hal ho gaya mere bhai ye kya hua *Kyu ankh khol kar hmen tum dekhte nahi Abbas bole teer hai moula laga hua *Pyasi sakeena se mai bhut sharm nisar hoon Afsos hai ki wada na mujhse wafa hua *Ye kah rahen the aai jo do char hichkiyan Dekha husain ne hai ke manka dhala hua *Laye husain mashko alam khaima gah me Chillai bibiyan ki alamdar kya hua *Kohram ek mach gaya randon ke bain se Zainab Ka tha Ye nouha mera sher kya hua