KAHTI THI YE MAA KHOON BHARI MAYYAT SE LIPAT KAR HAI HAI ALI AKBAR
*Kehti Thi Yeh Maa Khoon Bhari Maiyat Say Lipat Kar
Haye Haye Ali Akbar, Haye Haye Ali Akbar
*Arman Tha Pahnawoon Gi Poshak Shahani
Afsoos Keh Raas Aaie Na Tuj Ku Yeh Jawani
Kaisa Tha Muqadd
Hai hai...
*Aathara Baras Paal Kay Parwan Charhaya
Aur Gaisuwoon Wala Hai Mera Khoon Main Nahaya
Khurban Ho Maadar,
Hai hai...
*Itna To Zara Thehro Tumhain Dhulha Bana Loon
Bas Ek Jhalak Sahray Ki Sughra Ku Dhika Loon
Baichain Thi Khawahar,
Hai hai...
*Maa Teri Judaie Mein Bhala Kaisay Jeeye Gi
Maar Jaayaigi Sughra Jo Khabar Teri Sunay Gi
Ab Kya Karoon Dilber,
Hai hai...
*Tehro Kay Mein Atharween Mannat To Badha Loon
Phir Lay Kay Balayein Tujhay Jeenay Ki Dua Doon
Sadqay Ho Ay Maadar,
Hai hai..
*Pehlay To Ek Aawaz Pay Uth Jatay Thay Beta
Ab Etni Saada’oon Pay Bhi Pehloo Nahi Badla
Kya Ho Gaya Dilber,
Hai hai..
*Tum Hichkiyaan Lay Lay Kay Jo Dam Taur Rahay Ho
Moo Maa Say Hamaisha Kay Liye Mour Rahay Ho
Kyon Rootay Ho Dilber,
Hai hai.
*Aaye Jo Hamein Lootnay khaimay Mein Sitamgar
Maa Day Gi Sadaayein Ali Akbar, Ali Akbar
Chin Jaayay Gi Chaadar,
Hai hai...
*Jab Koi Jawan Laash Nazar Aati Hai Mahshar
Ek Yaad Suyay Karbobala Jaati Hai Mahshar
Dil Rota Hay Kah Kar,
Hai hai...
Comments
Post a Comment