Khayam jal chuke abbas ab to aa jao
Khayam Jal Chuke Abbas Ab to aa jao
* yah Kali Raat yah Tanhai Kya Kare Zainab
Sabhi chale gaye Awaaz De Kise Zainab
yah chahte ho Aseere Bala Rahe Zainab
yahan se Sham Talak nange Sar Phire Zainab
Khuda Ke Vaste Kuchh der ko to aa jao
Khayam Jal chuke Abbas Ab To a jao ...
*Hamara Sath Agar Na gawar hai bhaiya
yah Bebasi Nigahon Dil Se Paar Hai bhaiya
tarai se Tumhen Itna hi pyar hai bhaiya
to Laut Jana Tumhen Ikhtiyar hai bhaiya
jara Si der ko Aakar Hamen Bitha jao
Khayam Jal chuke Abbas Ab To a jao...
chalo Sakina Bulati Hai Tumko ro ro kar
Bada Bharosa tha bacchi ko Apne Ammu pee
Wo durre Khati Rahi aur Hui na Tumko khabar
Layeen Le Gaye kanon Se chhin Kar Gauhar
Woh Tumse Ruth gai hai use Mana jao
Khayam Jal Chuke Abbas Ab To a jao...
*Tumhari bewa wo Baithi Hai Sar jhukaye hue V
rida to chhin Gai balon se Munh chhupaye hue
jo Aag Dil Mein Lagi Hai use dabaye hue
Tumhare bacchon Ko dil Se magar Lagaye hue
yateem kaise palenge use Bata jao
Khayam Jal Chuke Abbas Ab To a jao...
*Ajeeb gardeeshe Daura Ajab zamana hai
Ke Berida shahe Kaunain Ka Zamana Hai
Zaban Jo khole to Durre hai tajiyana hai
Abhi To qaid Hamen hoke Sham jana hai
Jo ho sake to Hamen qaid se bacha jao
Khayam Jal chuke Abbas Ab To a jao ...
*layeen Karte hai Shahud Safar ki taiyari
aur is Taraf Haram e shah ke ashk the Jari
zameen hilti thi larza Falak pe tha Tari
Tadap ki kahati thi Jab Ek Garib dukhiyari
kareeb aa gaye zalim Hamen bacha jao
Khayam Jal chuke Abbas Ab To Aa jao...
Comments
Post a Comment