AAO ABBAS DARIYA SE WAPAS BHAIYA SADQA UTAREGI ZAINAB
*Aao abbas dariya se wapas bhaiya sadqa utaregi zainab
Khaima jis dam jalayenge aada bhaiya kis ko pukaregi zainab
*Ab na pani ka shikwa hai tum se
Hm ko qaidi bnane chale hai
Kon hoga yateemon ki dharas
Jab ali ko pukaregi zainab
Aao abbas..
*Ab na qasim na akbar na bhaiya
Jhoola khali hai kisko jhulaoon
Bhaiya maidan se asghar ko la do
zulfen uski sawarengi zainab
Aao abbas..
*Apni godi me asghar ko pala
Hm se wo bhi khafa ho gaye hai
Hai yakeen ab na aayenge wo bhi
Unko jis dam pukaregi zainab
Aao abbas...
*Wada tifli ka tumne nibhaya
Khoon se deen nana Ka seencha
Jo bhi baki hai ummat ki khatir
Qoul bhaiya na haregi zainab
Aao abbas..
*Har sitam Hm pe ummat ne dhaya
Touq gardan me bazu rasan me
Rat zindan me din karbala me
Zindigi yu guzaregi zainab
Aao abbas..
Comments
Post a Comment