ABBAS QATL HO GAYE MAHSHAR BAPA HUA
*Abbas qatl ho gaye mahshar bapa hua
Bekas husain ho gaye bhai juda hua
*Ab khatm hai larai alamdar mar gaya
Doure husain khte hue haye kya hua
*Pahunche jo girte parte to dekha ye hal e zar
Shane qalam hai sher hai zakhmi para hua
*Mashke sakeena khoon me hai tar pari hui
Patka bhi hai alam ka lahoo me bhara hua
*Boole Lipat ke gazi se kuch to karo kalam
Kya hal ho gaya mere bhai ye kya hua
*Kyu ankh khol kar hmen tum dekhte nahi
Abbas bole teer hai moula laga hua
*Pyasi sakeena se mai bhut sharm nisar hoon
Afsos hai ki wada na mujhse wafa hua
*Ye kah rahen the aai jo do char hichkiyan
Dekha husain ne hai ke manka dhala hua
*Laye husain mashko alam khaima gah me
Chillai bibiyan ki alamdar kya hua
*Kohram ek mach gaya randon ke bain se
Zainab Ka tha Ye nouha mera sher kya hua
Comments
Post a Comment