KHALI ALAM HAI AAYA ALAMDAR KYA HUA
*Khali Alam hai aaya alamdar kya hua
Bekas husain tera madadgar kya hua
*Khali hai mashk khoon me farehra hai tar batar
Bacho ki aas tut gai mashk dekh kar
Jhuka hua Alam hai alamdar kya hua
khali Alam...
*Shane Kate hai qatl ke maidan me haye haye
Abbas so rahe hai tarai me haye haye
Warna mere azeezon ka esar kya hua
Khali Alam...
*Kya fouj teri kho gai lashkar kaha gaya
Bali sakeena rah gai sakka kaha gaya
Lashkar wo tera saiyede abrar kya hua
Khali Alam....
*Kis ke lahu se lal hai maidan e karbala
kyu dasht me akele hai sultane karbala
Ay mustafa bata tera dildar kya hua
Khali Alam...
*Talwaron ke nishan badan par hai ja bajah
kya tera koi pochne wala nhi raha
Tanha hai kyu khara tera ghar bar kya hua
Khali Alam...
*Mashkeeze me bhi teer hai aur ankh me bhi teer
Abbas ke jigar me laga hai alam me teer
Zehra ka lal fouj ka sardar kya hua
Khali Alam..
*Abbas qatl ho gaye mahshar bapa hua
Gohar sakeena ke chine mahshar bapa hua
Zainab pukari shah ka alamdar kya hua
Comments
Post a Comment