ZAINAB KI YE FARYAD THI ABBAS NA LOUTE

 *Zainab ki ye fariyad thi Abbas na laute 

Din dhal gaya sham agayi Abbas na laute ... 

Zainab ki ye fariyad thi Abbas na laute 


*Din khoob tha jis waqt jo qaime se gaye the  

Ab sham bhi dhalne lagi, Abbas na laute ... 

Zainab ki ye fariyad thi Abbas na laute 


*Ek teer laga mashke Sakina hui zakhmi , 

Abbas ko sharm agayi, Abbas na laute ... 

Zainab ki ye fariyad thi Abbas na laute , 


*Dariya ki taraf nazr kiye baithe the bachche ,

Ek aas thi jati rahi, Abbas na laute ... 

Zainab ki ye fariyad thi Abbas na laute 


*Tum toh meri awaaz pe ajate the bhaiya , 

Woh nazr kahan rehgayi, Abbas na laute ... 

Zainab ki ye fariyad thi Abbas na laute 


*Darwaze pe baithi hui masoom Sakina , 

Padhti rahi Nade Ali, Abbas na laute ... 

Zainab ki ye fariyad thi Abbas na laute 


*Aaja are aaja meri chader ke muhafız , 

Zainab yehi kehti rahi, Abbas na laute ... 

Zainab ki ye fariyad thi Abbas na laute 


*Ab dil ko yaqin agaya chin jayegi chadar , 

Ek aas thi jati rahi, Abbas na laute ... 

Zainab ki ye fariyad thi Abbas na laute 


*Zainab ne madad ke liye jis waqt pukara , 

Khud agaye Moula Ali, Abbas na laute ...

Zainab ki ye fariyad thi Abbas na laute 

Comments

Popular posts from this blog

KHOONE HUSAIN TAPKA ZAMIN PAR JAGAH JAGAH

Salam khak nasheeno pe sogwaron ka

Khayam jal chuke abbas ab to aa jao