*Khone Husain tapka zamin par Jagah jagah tha Khaufnak momino Manjar jagah jagah *Bete Ki Lash Dekhkar Shabbir Ne Kaha sine per jakhm kha Gaya Akbar jagah jagah *bete Ne Jab Pukara ke Baba Salam lo Shabbir pahunche thokre khakar Jagah jagah *ahle Jafa Ke Samne Sarvar Ke Samne karvat Badal ke Rah Gaya Asgar jagah jagah *Aale Nabi pe Pani Ki Bandish Ke Vaste pahre laga raha tha sitamagar jagah jagah *Bhai Ko Dekha khoon mein Galta to Ro Pade Kut kut Gai Thi Lash e baradar jagah jagah * Daman Mein Sar tha Baap Ka beti ke bainn the Baba sataya shimr ne Aakar jagah jagah *Pakdi Kamar aur Nahar Ki Jaanib Chale Husain Shane uthate Jaate the Jukh kar jagah jagah *Karbobala Mein kufe Mein bazaron Sham mein zehra ki betiyan Thi Khule Sar Jagah jagah
Salaam khaak nasheenon pe sogwaaron ka Ghareeb dete hain pursa tumhaare pyaron ka *Salaam unhein jinhein sharm khaaye jaati hai Khule saron pe aseeri ki khaak aati hai *Salaam uspe jo zehmat kash-e-salaasil hai Museebaton mein Imaamat ki pehli manzil hai *Salaam bhejte hain apni shehzaadi par Ke jisko saunp gaye marte waqt ghar Sarwar *Musaafirat mein jisey be-basi ye dikhlaayi Nisaar kar diye bachche na bach sakaa bhai *Aseer ho ke jise shaamiyon ke narghey mein Hussainiyat hai sikhaana Ali ke lehjey mein *Sakina bibi tumhaare ghulam haazir hain Bujhe jo pyaas to ashqon ke jaam haazir hain *Ye sin ye hashr ye sadme naye naye bibi Kahaan pe baithi ho khaime to jal gaye bibi *Pahaad raat badi der hai savere mein Kahaan ho shaam-e-ghareebaan ke ghup andhere mein *Zameen-e-garm yateemi ki sakhtiyaan bibi Wo seena jis pe ke soti thi ab kahaan bibi *Janaab-e-maadar-e-besheer ko bhi sa...
Khayam Jal Chuke Abbas Ab to aa jao * yah Kali Raat yah Tanhai Kya Kare Zainab Sabhi chale gaye Awaaz De Kise Zainab yah chahte ho Aseere Bala Rahe Zainab yahan se Sham Talak nange Sar Phire Zainab Khuda Ke Vaste Kuchh der ko to aa jao Khayam Jal chuke Abbas Ab To a jao ... *Hamara Sath Agar Na gawar hai bhaiya yah Bebasi Nigahon Dil Se Paar Hai bhaiya tarai se Tumhen Itna hi pyar hai bhaiya to Laut Jana Tumhen Ikhtiyar hai bhaiya jara Si der ko Aakar Hamen Bitha jao Khayam Jal chuke Abbas Ab To a jao... chalo Sakina Bulati Hai Tumko ro ro kar Bada Bharosa tha bacchi ko Apne Ammu pee Wo durre Khati Rahi aur Hui na Tumko khabar Layeen Le Gaye kanon Se chhin Kar Gauhar Woh Tumse Ruth gai hai use Mana jao Khayam Jal Chuke Abbas Ab To a jao... *Tumhari bewa wo Baithi Hai Sar jhukaye hue V rida to chhin Gai balon se Munh chhupaye hue jo Aag Dil Mein Lagi Hai us...
Comments
Post a Comment