QABRE SARWAR PAR KAHA ZAINAB NE ROKAR ALWIDA
*Qabre sarwar par kaha zainab ne rokar alwida
Kuch khabar hai hm par kya guzri baradar alwida
*Aag khaimon me laga di lashkar kuffar ne
Cheen li saidaniyon ke sir se chadar alwida
*Qunbe wale sath the Jab mai watan se ayi thi
Aaj jati hoon akeli ghar luta kar alwida
*Be Khata mare sakeena ko tamache shimr ne
Le liye masoom ke kano se gohar alwida
*Neend kaisi aai hai soya karoge jab talak
Lo phuphi jati hai utho mere akbar alwida
*Phir nazar ki soye nahre alqama aur ye kaha
Mere gairat dar ay saniye jafar alwida
*Sham ke darbar me the sat so kursi nasheen
Thy rasan bastan waha aale payambar alwida
*Kya ye hi sharte wafa hai tum na aaye sham me
Tazeeyane marta tha Jab sitamgar alwida
*Thi Ye hi ummeed hai Abbas sa bhai mera
Mai na jaoongi kabhi kofe khule sir alwida
*Ye qalak dil se na jayega qayamat tak kabhi
Haye kofe me gai zainab khule sir alwida
Comments
Post a Comment