UTHO SAKEENA UTHO JATA HAI KARWAN
*Utho sakina utho jaata hai kaarwaan
Tere baghair jaani kaise jiyegi maa
*Zindaan ka ye andhera hota kahan savera
Pardes may sakina ghamkhaar kaun tera
Zaqmi hai kaan tere cheeni hai baaliyan
Utho sakina utho jaata hai kaarwaan
*Khabre batool tanha veeran hai madina
Karbobala may asghar zindaan may sakina
Dil ko hila rahi hai asghar ki hichkiyaan
Utho sakina utho jaata hai kaarwaan
*Maa jaa rahi hai bibi veeran godh lekar
Karbobala ke ban may apna suhaag dekar
Kaise madinay jaaun sab kuch to hai yahaan
Utho sakina utho jaata hai kaarwaan
*Sughra ka saamna mai kaise karoon batade
Poochegi jab wo mujhse mai kya kahoon batade
Amma meri sakina kho aayi ho kahaan
Utho sakina utho jaata hai kaarwaan
*Mai is ghadi se pehle ay kaash mar hi jaaun
Kis kis ko kya bataaun kis kis se moo chupaaun
Poochegi mujhse aakar jab saari bibiyan
Utho sakina utho jaata hai kaarwaan
*Dil gham se hai do-para hame shaamiyon ne maara
Abbas bhi nahi hai jo badke de sahara
Jungle may so rahi hai saari nishaniyan
Utho sakina utho jaata hai kaarwaan
*Irfan ghame sakina hai dukh bhari kahani
Ye dukh bhari kahani nasir ki hai zabani
Mai sochta hoon ab-bhi kaise karoon bayaan
Utho sakina utho jaata hai kaarwaan
Comments
Post a Comment